Zindagi ki Raaho me Ishq na Mile.
Is Be'Dard Zamane se Kuch na Mile.
Hum AFSOS Q Kare Woh Hame na Mile,
Arey AFSOS to Woh Kare Jinhe Hum na mile..
Shikwe hain zuban pe taqdir ke mare hain
Daman bhi hamare hain aansoo bhi hamare hain
Kisi ke ek aansoo per hazaron dil tadapte hain
Kisi ka umar bhar rona yonhi bekar jata hain
Bikhre hue rishte ki kimat hi kya,
jab todnewala hi na janta ho,
bewafa se pyar ki ummeed hi kya,
jab vo nibhana hi na janta ho.......
Tum ne hamain ek diyee ki manend samjha
Rat gahri howi to jala diya subha howi to bujha diya.
Aisi Bewafai Ki Us Bewafa Ne.
K Muhabbat B Badnaam Ho Gayi.
Apni Muhabbat Ki Aisi Qeemat Wasool Ki Usne.
K Hamari Qabar Tak Nilaam Ho Gayi.
"Mere Chup Rehne Se Naraaz Na Hua Kro"
""dost """Gehre Samandar Hamisha Khmosh Hua Krty Hain"
Zindgi Sapno Ki Nahi Haqiqat Mein Jiya Karo,
Kyuki Sapno Mein Sirf Phool Khila Karte Hain,
Wo Phool Bhi Apko Kya Zindgi De Sakte Hain,
Jo Khud Bas Do Din Ki Hi Zindgi Jiya Karte Hain.
Dil Aise Tuta Hum Dekhte Hi Rah Gaye,
Wo Humse Milkar Fir Kahi Kho Gaye,
Jane Kya Khata Ho Gayi Anjane Mein,
Thoda Paas Aake Fir Dur Kyu Ho Gaye.
Hum To Sath Rahne Ki Koshis Mein Rahte Hain,
Par Na Jane Kyu Wo Duriya Banate Ja Rahe Hain
Jinse Pyar Ki Ummid Hum Kar Rahe The Yaaro,
Wahi Aaj Na Jane Kyu Fasle Banate Ja Rahe Hain.
Har Mulakat Par Har Waqt Ka Takaza Hua,
Har Yaad Mein Dil Ka Dard Bhi Taza Hua,
Hoti Thi Gazalo Mein Sirf Judai Ki Baate,
Khud Pe Guzari To Haqiqat Ka Andaza Hua
Dilo ki Dastaan unhe kahan kabul thi...
Meri wafayien unke liye Fizul thi...
Koi aas nhi ab lekin itna bata do...
Maine chaha unko kya yehi meri Khata thi...
Bhut tmana thi kisi ko apna bnane ki,
bhut tmana thi kisi ka ho jane ki,
par kya pta tha jiska hum hona chahte the,
unhe adat hi nhi kisi ko apna bnane ki.
Saanson Ki Mahek Saanson Mein Sama Gayi
Aapki Yaad Meri Rooh Mein Sama Gayi
Aap Mere Ho Yeh Jaankar Bheeg Gayi Palkein
Hum Aapke Ho Nahi Sakte Yeh Sochkar Chalak Gayi Palkein
Ujaale apni yaadon ke humare sath rahne do
na jane kis gali main zindagi ki sham ho jaye
Tamanna hai hardam tere saath rahun..
na jene zindagi kab maut k naam ho jaye..
Ro Ro Ke Poochha Mujh Se Mere Pairon Ke Chhalon Ne
Ke Basti Kitni Door Basali Hain Dil Mein Rehne Walo Ne
Arzoo yeh nahi k gham ka toofan tal jaye
fiqar toh yeh hai k tumhara dil na badal jaaye
kabhi bhi mujh ko agr bhulna chaho tum
dard itna dena k mera dam nikal jaaye..............
Dard se dardnak unki yaaday hain
Suni suni humare afsaane hain
Taqdeer me jo likha ho wo tho hona he…
Phir kis baat ka mere yaar ye rona he…
Dur Na Jaya Karo Dil Tadap Jaata Hai
Tere Hi Khayalon Mein Din Guzar Jaata Hai
Aaj Pucha Hai Dilne Ek Sawal Tumse
Kya Dur Rekhar Tumko Bhi Hamara Khayal Aata Hai
Nazaro ka kya hai..Nazare to kabhi-kabhi dhoka de jati hai !!
Aankhe kholo to haqeeqat aur band karo to..kuch hasin khyawab dikha jati hai !!
Vafa-e-ishq mein hum lut jayenge Aur tujhe majboor kar jayenge
Hame chahne ko tum majboor ho jaoge Aur hum tumhe chorr jayenge
Kasam hei mujhe apne rab ki aye jaan e wafa
Jo dard diya hai tune mujhe Us dard ka tujhe ehsaas karayenge
No comments:
Post a Comment