woh guzra waqt tere saath yun hi hamesha mere saath lagaa rehta hai
Tere saath chalte huye who kadam mere bhi kahan reh gaye hain
Main toh ab tak usi guzre mode par hi baitha rota hun..
Sab maaluum hai kuchh lautkar nahin aata magar
Kambakht hai yeh aankhon kii nami kam kyun nahin hoti .
Ab toh sab soona hai mere aas paas siwaye tere ehsaas ke ..
Main kise aur kyun samjhaata jaaun
mujhe toh khud se ladna hai aur teri
dhundhli hoti yaadon mein hi doobe rehna hai
.baitha hun khamosh teri tanhaayi ke shikwe mein
Subah dopehar aur phir shaam iska khayal ab sataata nahin .
waqt ki shaakh par mere liye siva teri yaadon ke kuchh bacha hi kahan hai
Ab koi iltezaa kisse karun aur koi tamannaa bhi nahin .
Nigahon ki yeh dhool kitni nami sanjoye baithi hai main bhi dekhun zaraa
Jahan bhar ko hi tanhayi mein dubaa dunga tadapte aansuon se .
Saanse jo roz kabhi aati hain hole se
Teri khushbu ka daaman le aati hai chupke se
Sabse ab duur ho gaya hun na jaane kis bahaane se
Main main hi na raha hun tere fasaane se .

No comments:
Post a Comment